507 ke intezar me khade the tanha
Socha zaaya na jae keemti lamha
Phone ke memo ko samjha kagaz kora
Aur unglio ko kalam samjha thoda
Khayalo ke badal pe bhari hi thi udan
Ki aa gai vo, le ke khilti muskan
Kadam aap hi badh chale uski ore
Mann ko sath lae baandhke dor
Sama yu badla, jaise baarish aati achanak
Ya kohre ke dino me, dhoop deti dastak
Har kahani k bad dusri jaati h jud
Ae dil sambhal, peeche na mud
Un chehro ko padho, kahi hasi kahi ghav
Duniya ki baat nirali, kahi dhup kahi chav
Khaamosh hai koi, gumshuda sa
Khamoshi kya cheez kisi ko nhi pata
Koi zaalim nigaho ke hai teer chalata
Khud ghayal, par kisi ko kar nhi pata
Koi kaid panchi ki trah dekhta jharokhe se
Koi baatein karta aahista, hawaon k jhoke se
Fir wakt aa jata usey chodne ka
Rukh apna, ghar ki taraf modne ka
Fir padti us pe aakhri, mukhtasar si nigah
Aur nikalti dil se, agli bar wakt pe milne ki chaah
No comments:
Post a Comment